Arre bhai! Aaj kal jab bhi paneer ki baat hoti hai, sabse pehle naam aata hai kadai paneer ka, wo bhi dhaba style wala, jo garma garam tandoori roti ke sath milta hai.
Lekin kya aapko pata hai aap ghar par bhi bilkul dhaba jaise kadai paneer bana sakte ho? Mujhe yaad hai bachpan me jab hum highway pr jaate the aur roadside dhabe pe rukte the, wahaan jo kadai paneer aata tha — uski laal laal gravy aur capsicum ka crunch... uff!
Aaj mai aapko step by step simple dhaba style kadai paneer recipe at home sikhane wala hoon — taaki aap bhi ghar par dhaba jaise kadai paneer ka maza le sakein.
---
Kadai Paneer banane ki Ingredients list
- 200 gm paneer cubes (ghar ka ya market ka fresh)
- 1 badi shimla mirch (capsicum)
- 2 medium pyaz (onions), moti kati hui
- 2 medium tamatar (tomatoes), finely chopped
- 1 tbsp adrak-lehsun ka paste
- 2 tbsp dahi (curd)
- 1 tsp kasuri methi
- 1 tsp dhania powder
- ½ tsp lal mirch powder
- ½ tsp haldi
- 1 tsp garam masala / kadai masala
- Namak swad anusar
- 2 tbsp oil + 1 tbsp makkhan (butter)
- Hara dhania (garnish ke liye)
Simple Dhaba Style Kadai Paneer Recipe at Home
1. Capsicum & Paneer ko fry karo
Ek kadai lo, usme thoda oil daal kar capsicum ko halki si bhun lo, taki wo crisp rahe. Phir paneer cubes ko light golden hone tak fry karo.
Tip: Paneer ko fry karne ke baad garam paani me 2 min daal do, soft rehega.
2. Masala base banao
Kadai me butter + oil daal kar pyaz bhuno jab tak wo golden ho jaye. Ab adrak-lehsun ka paste daal kar ek min bhuno. Fir tamatar, haldi, lal mirch, dhania powder daal kar ache se cook karo jab tak masala oil chhod de.
3. Dahi aur kadai masala add karo
Ab dahi daal kar quickly stir karo, dahi ko phatne mat do. Kasuri methi aur garam masala daal kar mix karo.
Tip: Kasuri methi ko hamesha haath se crush kar ke daalo — flavour double ho jayega.
4. Paneer & Capsicum wapas daal do
Ab fried paneer aur capsicum ko gravy me daal do. 2-3 min medium heat pr pakao taki sab flavour mix ho jaye.
---
Garnish & Serve
Upar se hara dhania daal kar garnish karo. Ghar ka tandoori roti ya butter naan ke sath serve karo.
Dhaba Style Kadai Paneer Ghar Par Kaise Banaye
Bas bhai! Itni asaani se ghar par dhaba style kadai paneer ban gaya, ab family ko bulao aur enjoy karo.
Agar aapko ye simple dhaba style kadai paneer recipe at home pasand aaye, to apne dosto ke sath share zaroor karna. Kyunki khaana to bas ek bahaana hai, asli maza to sabko ek sath baithe dekhne me hi hai ❤️.
---
FAQs about Dhaba Style Kadai Paneer
- Q: Kya kadai paneer ghar me bina cream ke ban sakta hai?
A: Haan bilkul! Ye recipe bina cream ke hi banayi gayi hai, aur taste bilkul dhaba style hai.
- Q: Dhaba style kadai paneer spicy hoti hai?
A: Thodi spicy hoti hai, lekin aap lal mirch adjust kar sakte hain apne taste ke hisaab se.
---
🚀 Related Recipes
Also try our Restaurant Style Chicken Biryani ya Egg Bhurji Recipe.
---
Comments
Post a Comment